Connect with us

Eid Mubarak

Eid Mubarak – Muslim Ahbaab Ko Eid Ul Fitr Mubarak

Eid Ul Fitr Mubarak – Eid Muslim Duniya Ka Khushiyon Bhara Tehwaar Hai Jo Duniya Bhar Ke Tamam Musalmaan Buhat Aqeedat Se Josh O Kharosh Se Manatey Hein. Muslamno Ke Nazdeek Do Bari Eidein Hain. Aik Eid Al Fitr Aur Dusri Eid Al Duha. Eid-al-fitr Jo Ke Maah E Ramzan K Ikhtetaam Per Hoti Hai Aur Isey Meethi Eid Bhi Kaha Jata Hai. Jab Ke Dusri Eid Yani Eid-Ud-Duha Haj Ke Islami Muqadas Maah Main Aati Hai Jisey Qurbani Ki Eid Bhi Kaha Jata Hai Aur Bari Eid Ke Naam Se Bhi Mansoob Hai. Is Eid Pe Allah Ki Khushnoodi Hasil Kerne Ke Liye Janwar Zibah Ker Ke Qurbani Di Jati Hai.

Published

on

Eid Ul Fitr Mubarak
  • Eid Mubarak – Muslim Ahbaab Ko Eid Ul Fitr Mubarak

Eid Mubarak

Eid Mubarak – Muslim Ahbaab Ko Eid Ul Fitr Mubarak

Eid Ul Fitr Mubarak – Eid Muslim Duniya Ka Khushiyon Bhara Tehwaar Hai Jo Duniya Bhar Ke Tamam Musalmaan Buhat Aqeedat Se Josh O Kharosh Se Manatey Hein. Muslamno Ke Nazdeek Do Bari Eidein Hain. Aik Eid Al Fitr Aur Dusri Eid Al Duha. Eid-al-fitr Jo Ke Maah E Ramzan K Ikhtetaam Per Hoti Hai Aur Isey Meethi Eid Bhi Kaha Jata Hai. Jab Ke Dusri Eid Yani Eid-Ud-Duha Haj Ke Islami Muqadas Maah Main Aati Hai Jisey Qurbani Ki Eid Bhi Kaha Jata Hai Aur Bari Eid Ke Naam Se Bhi Mansoob Hai. Is Eid Pe Allah Ki Khushnoodi Hasil Kerne Ke Liye Janwar Zibah Ker Ke Qurbani Di Jati Hai.

Eid Ul Fitr Mubarak
Eid Ul Fitr Mubarak

Eid-al-fitr Mah e Ramdhan Ke Ekhtataam Aur Shawaal Ki Pehli Tareekh Ko Manayi Jati Hai, Jo Ramdhan Mein Ki Gayeen Ibadton O Riazatoon Ka Allah Pak Se Bakhsha Sun-hwa Anmol Inaam Hai. Eid Ke Maienay Khushi Aur Fitr Ke Maienay Shagaaf Jama Fitoor Hai. Fittar Ke Maienay [ Ism ] Roza Kushai, Ekhtataam Roza Ya Kholnay Ke Hain. Is Din Se Ramdhan Ke Rozon Ka Silsila Khatam Hota Hai Aur Baad Azan Shawaal Ke 6 Rozon Ka Silsila Shuru Hota Hai.

Eid Mubarak Peghaam

Ramadaan Ke Rozon Ka Silsila Khatam Honay Ki Nisbat Se Usay Eid Ul Fittar Ka Naam Diya Gaya Hai .
Eid Al Fitr Musalmanon Ka Aik Aisa Khoshion Bhara Tehwar Hai Jo Ramadaan Ke Muqaddas Mahinay Ke Ekhtataam Ke Mauqa Par Asmaan Se Utre Huve Tohfay Ki Manind Hai. Ramadaan Ki Barkatoon Ka Shukriya Ada Karne Ke Liye Yeh Khushi Ka Din Barray Josh O Kharosh Se Manaya Jata Hai. Musalman Ijtimai Eid Ki Namaz Mein Hazrhote Hain Jo Subah Tulu Aftaab Ke Baad Roshni Mein Hoti Hai .

Muslim Hazraat Naye Libaas Pehantay Hain, Mard Hazraat Gilaay Mlitay Hain. Musahfa Karte Hain. Aik Dosray Ko Eid Mubaarak Kehte Hain. Rozay Rakhnay Aur Fitraana Ada Karne Ki Bhi Mubarak Baad Dete Hain. Gharon Mein Lazeez, Umdah Aur Mazedar Khanay Banaye Jatay Hain Khaas Tor Par Terhan Terhan Ki Meethi Sawaiyan! Khandan, Doston Aur Parosion Ko – apne Sath Eid Mananay Ki Dawat Dete Hain. Paison Ki Soorat Mein Barray Ya Khud Kafeel Ghar Ke Bachon Ko Ya Baqi Ahbaab Ko Tohfay Mein Naqad Dete Hain Jisay Aidee Kaha Jata Hai. Want to read all wishes in Urdu? Must-Visit Salgirah website. Don’t forget to like us on Salgirah Mubaarak Facebook Page.

Eid Mein Musalman Bachay Aidee Jama Karne Ke Liye Sab Rishte Daaron Se Raabtey Mein Rehtay Hain Taa Ke Ziyada Se Ziyada Aidee Batorey Ja Sakay. Bachon Mein To Aik Muqablay Ka Rujhan Peda Hojata Hai Ke Eid Par Kis Bachay Ne Ziyada Eidee Jama Ki.

Eid Ul Fitr Mubaarak Ke Paigham

Ramadaan Ke Douran Roza Rakhnay Se Bhukay Aur Miskeeno Ke Liye Hamdardi Ka Ehsas Peda Hota Hai Aur Musalmanoon Ko Ghareebon Ke Liye Farakhdili Se Atiyah Karne Ki Targheeb Ramadaan Ke Tufail Haasil Hoti Hai .
Aaj Hum Aap Se Eid Mubaarak Ke Paighamaat Aur Eid Mubaarak Tasweerein Baanteingay Jo Aap –apne Ahbaab Ko Bhaij Kar Inhen Yeh Mehsoos Kara Saken Ke Aap Unki Khoshion Mein Unkay Sath Hain Aur Unko Yeh Yaad Dila Saken Ke Aap Unko Yaad Karte Hain, Bhoolay Nahi.

Islam Alaikum Dostoo! Aap Sab Ko Aur Aap Ke Ehley Khanah Ko, Aur Tamam Chhote Barron Ko, Aur Aap Ke Muhallay Walon Ko, Meri Taraf Se Eid Ul Fittar Bohat Bohat Mubaarak Ho. Allah Pak Kere Yeh Eid Aap Sab Ki Zindagion Mein Bahhar Ki Naveed Ban Kar Aeye Aur Aap Ki Zindagi Mein Haryali Phela Day. Ameeen.

Yeh Eid Aap Ke Liye Bhi Dheron Khusihyan Aur Musarraten Le Kar Aeye. Ameeen
Eid-al-fitr Mubaarak Ho- Duayen Hain Tumhare Liye Dost !

Eid Ke Pegham

Allah Taala Hum Sab Ko Ramadaan Ki Mughfirat Aur Eid Ki Khusihyan Ataa Farmaiye! Ameeen Meri Taraf Se Aap Ko Eid Mubaraak Taqabal Allah Mana Kyu Munakum! Uss Din To Qabuliat Ki Houlle Sale Lagi Hoti Hai Poooray Saal Mein Yeh Khaas Al Khaas Aur Bohat Hi Khaas Mauqa Bas Aik Baar Aata Hai Jab Hum’ ‘ Eid Ulfittar’ ‘ Ki Namaz Ke Liye Jatay Hain Toh Eidgaah Mein Akhirat Ke Barey Mein Ki Gayi Har Dua Qubool Hoti Hai Aur Duniya Ke Barey Mein Ki Gayi Har Woh Dua Jo Hamari Maslehat Mein Hoti Hai Woh Bhi Qubool Ki Jati Hai Aur Jo Hamaray Haq Mein Behtar Nahi Hoti Is Ki Jagah Is Se Behtar Cheez Ataa Farma Di Jati Hai Ya Koi Sir Se Museebat, Dua Ke Badlay Taaali Jati Hai. Aap Ko Phir Se Bohat Bohat Eid Mubaarak !

Meethi Meethi Eid Ki Meethi Meethi Mubarkain. Aap Ki Bohat Bohat Eid-Ul-Fittar Ki Mubaarak Ho. Hamesha Salamat Rahen.

Aap Sab Ko Eid Ki Khusihyan Bohat Bohat Mubaarak Hon

Aap Sab Ko Dil Ki Athah Geherai Se Eid Mubaarak

Eid Unn Ki Hai Jo Gunaaho Se Bach Gaye, Jinhon Ne –apne Amal Mein Ikhlaas Peda Kya Aur Sachey Dil Se Tauba Ki. Unko Eid Mubaarak !

Tamam Muslim Ummaah Ko Eid Mubaarak

Rab Alameen Se Dua Hai Ke Woh Aap Sab Par Apna Khusoosi Fazl O Karam Farmaaye, Mustahkam Imaan, Saleh Aamaal, Wasail Mein Kushadgi, Umar Mein Farakhi O Darazi , Sahet Mein Umdagi O Tawanai, Izzat O Waqar Mein Bulandi, Husn Ikhlaq, Seerat Aur Kirdaar Mein Kamaal Bakhshay! Ameeen Sm Ameeen – Eid Mubaraak Ho .

Tamam Log Jo Deen Ki Sar Bulandi Ke Liye Kaam Kar Rahay Hain Ya is Mulk Ki Hifazat o Khidamat Kar Rahay Hain Ya Pardes Ki Sakhtiyan Bardasht Kar Rahay Hain. Un Sab Ke Liye Mera Allah Aasaniyan Peda Farmaiye Ameeen Sum Ameeen. Un Sameit Aap Ko Bhi buhat buhat Eiid-ul-fitr Mubaarak

Eid Saeed to you

Tamam Log Jo Deen Ki Sar Bulandi Ke Liye Kaam Kar Rahay Hain Ya Mlkِ Pakistan Ki Hifazat Kar Rahay Hain Ya Pardes Ki Skhtyan Bardasht Kar Rahay Hain Un Sab Ke Liye Mera Allah Aasanyan Peda Farmaiye Ameeen Sm Ameeen. Un Sameit Aap Ko Bhi Eid-al-fitr Mubarak

Eid Ke Dosray Din Ke Eid Mubaarak Pegham

Asalam Alaikum O Rehmat Allah O Barkatuhu
Eid Ka Dosra Din Mubaarak Ho
Allah Aapko Sukoon Qalb Ataa Farmaaye Aur Tahayaat Imaan wa Aafiyat Ke Sath Tandrost Salamat Aur Shaad O Abaad Rakhey. Kisi Ka Mohtaaj Nah Kere Aur Har Waqt Apni Panhaah Mein Rakhey. ALLAH Pak Aapko Zindagi Ki Har Khushi Har Bhalai Se Nawazey Aur Apni Rematon Ke Saaye Main Rakhey

  • Sab Ko Eid Saadgi Se Mubaarak
  • Tamam Ahal Watan Ko Dili Eid Meethi Mubaarak
  • Islam Alaikum – Subah Bakhair! Tamam Ahal Islam Jin Ke Mumalik Mein Aaj Eid Hai Un Ko Eid Ulfittar Bohat Bohat Mubarak Ho.
  • Mere Aur Mere Ghar Walon Ki Taraf Se Aap Ko Aur Aap Ke Ghar Walon Ko Dili Eid Mubaarak Qubool Ho .
    Aap Tanha Nahi, Bohat Bohat EidMubarak Ho.
  • ALLAH Taala Ramadaan Ke Rozon Ko Apni Bargaah Mein Qubool Farmaiye. Ameeen Ya Rab Alameen. Eid Mubaarak
  • ALLAH Taala Tamam Ahal Islam Ki Hifazat Farmaiye. Ameeen Ya Rab Alameen. Eid Mubaarak
  • ALLAH Taala Hamaray Malik Pakistan Ki Hifazat Farmaiye. Ameeen Ya Rab Alameen. Eid Mubarak
  • Hamaray Malik Pakistan Ko Qayamat Tak Qaim ودائم Rakhay. Ameeen Ya Rab Alameen. Eid Mubaarak
  • Jahan Tak Musalman Basey Huve Hain Unko Allah Pak Hifazat Se Rakhay. Ameeen Ya Rab Alameen. Eid-al-fitr Mubaarak
  • Jo Bhi Insaan Kisi Musalman Ka Bhala Chahta Hai Kkhuda Usay Khaas Rehmat Se Nawaze. Ameeen Ya Rab Al Almeen. Eid Mubaarak
  • Duniya Ke Har Achay Ensaan Ko Eid Mubaarak

Kisi Khaas Ke Liye Eid al fitr Mubarak Ka Pegham

Har Is Lamhay Ko Eid Mubarak Jis Jis Lamhay Aap Ko Mera Khayaal Aaya

Rozay Mein Jo Mujhe Msg Kiye

Un Sabhi Misijz Ko Eid Mubarak

Jin Unglio Ney Aik Aik Harf Likha

Un Naazuk Unglio Ko Eid Mubarak

Un Hathon Ko Eid Mubarak

Jo Mehndi Se Rich Kar

Mere Naam Ki Mehak Se Khil Utthay Hain

Un Aankhon Ko Eid Mubarak

Jo Raat Bhar Jaagti Rehti Hain

Un Sooji Hui Khumaari Aankhon Ko Eid Mubaarak

Teri Aankhon Ki Niilii Nadi Ko Eid Mubaarak

Jahan Meri Yaad Ki Nao Khari Hai

Jis Par Tairay Noor Ki Roshni Pari Hai

Tairay Honton Ke Tabassum Ke

Hussain Jazero Ko Eid Mubaarak

Jin Ki Taazgee O Shaguftagi Se

Mere Dil Mein Baharen Jaagti Hain

Har Is Lamhay Ko Eid Mubaarak Jis Jis Lamhay Aap Ne Dua Ke Liye Haath Buland Kiye

Jab Wudu Namaz K Liye Is Pak Pani Ke Aik Aik Qatray Ko Eid Mubarak

Namaz Mein Jo Jo Ayaat Mubaarak Ka Vird Kya Un Sabhi Ayaat Ko Eid Muabarak

Tkbir Se Sjday Taq Sri Ibadat Ko Eid Mubarak

Sehri Ke Waqt Jaagne Ko Eid Mubarak

Roza Rakhnay Ki Niyat Ke Liye

Aik Aik Niwala Aik Aik Ghoont Jo Liya Un Sab Ko Eid Mubarak

Aftaar Par Jo Sajaya Dastarkhuwaan Usay Eid Mubaarak

Khajoor Ko Eid Mubaarak

Pakoda Samosa Chaat Ko Eid Mubarak

Jaam Sheree Se Rooh Afzaa Taq Eid Mubarak

Har Is Lamhay Ko Eid Mubaarak Jis Jis Lamhay Rozay Mein Rahay

Rozay Se Taraveeh, Taraveeh Se Fitraaney Tak Eid Mubarak

Meethi Siwaiyon Jaisi Mere Meethay Dost Ko Eid Mubaarak

Continue Reading
Click to comment

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Eid Mubarak

Khushiyaan Lekar Aayi Christmas

Christmas ka tyohaar aa gaya hai, aur is mauke par apne parivaar ko pyaar bhari khwahishen dena ek anmol anubhav hota hai

Published

on

By

Khushiyaan Lekar Aayi Christmas
Photo: Salgirah Mubarak

Khushiyaan Lekar Aayi Christmas aur parivaar ke liye yahaan hain 10 pyaar bhari khwahishen aur dil ko chhoo lene wale quotes. Is blog post mein jaaniye kaise aap apne parivaar ke liye is Christmas ko yaadgaar bana sakte hain.”

Christmas Kiya Hai aur Hum Kyun Manate Hain?

Christmas ek khushi ka tyohaar hai jo har saal 25 December ko manaya jata hai. Yeh Isai dharm ke logon ke liye Isa Masih (Jesus Christ) ke paida hone ki yaadgar hai. Is din log apne parivaar aur dosto ke saath khushi se milte hain, rangin jhilon ko saja kar gungunate hain, aur ek dusre ko tohfe dete hain. Ye Maseehi Eid Hai. Christmas hamare liye ek mauka hai pyaar aur ekta ka izhar karne ka.

Khushiyaan Lekar Aayi Christmas: Parivaar ke Liye 10 Khubsurat Khwahishen aur Quotes

Introduction: Christmas ka tyohaar aa gaya hai, aur is mauke par apne parivaar ko pyaar bhari khwahishen dena ek anmol anubhav hota hai. Yeh samay un khushiyan aur yaadon ka mauka hai jo hum apne parivaar ke saath bitate hain. Is blog post mein hum aapke liye laye hain 10 khubsurat khwahishen aur quotes jo aap apne parivaar ke liye istemaal kar sakte hain.

10 Christmas Ki Khubsurat Khwahishen:

  1. Christmas ki is raat, hamari dua hai ki aapka parivaar hamesha khush rahe.
  2. Parivaar ke pyaar se bhare iss mauke par, hum aapko dher saari khushiyan dete hain.
  3. Aapke parivaar mein khushi aur pyaar hamesha barkarar rahe.
  4. Is Christmas par, hum aapke parivaar ke liye dher saari duayein bhejte hain.
  5. Christmas ki raat, aapka parivaar aapke saath ho, yahi hamari khwahish hai.
  6. Aapke parivaar ki har sadasya ko is Christmas par khushiyan milen.
  7. Parivaar mein ek dusre ke saath bitaye huye yeh lamhe humesha yaadgar rahein.
  8. Aapke parivaar ko Christmas ki mithas aur pyaar bhari yaadein milein.
  9. Christmas par, hum aapke parivaar ko khushiyon se bhara saal ka tohfa dete hain.
  10. Aapke parivaar ka saath hamesha aapke saath ho, yahi humari dua hai.

10 Dil Ko Chhoo Lene Wale Christmas Quotes:

“Parivaar se bada kuch nahi hota, aur Christmas par yeh pyaar bhari yaadein hamare dil ko chhoo leti hain.”

“Christmas ki raat, parivaar ka pyaar aur ekta hi hamari duniya ko chamak uthti hai.”

“Parivaar ka saath aur pyaar hi asli dhan hota hai, aur Christmas yeh yaad dilata hai.”

Salagirah Mubarak Christmas Quotes In Hindi

“Christmas parivaar ke saath guzara gaya waqt ka ehsaas dilata hai, aur yeh yaadein humesha paas rehti hain.”

“Har saal Christmas aata hai aur parivaar ke saath guzare lamhe hamesha yaadgar hote hain.”

“Parivaar ke saath bitaye huye lamhe hi zindagi ke sabse khoobsurat pal hote hain, aur Christmas inhein aur bhi yaadgar banata hai.”

“Parivaar ka saath hi hamari zindagi ki sabse badi khushi hoti hai, aur Christmas iss khushi ko aur bhi mehka deta hai.”

“Christmas ke mauke par parivaar ke saath bitaye lamhe hamesha dil ko choo lete hain, kyunki yeh lamhe anmol hote hain.”

Christmas Quotes In URDU

“Parivaar ka pyaar aur saath hi hamari zindagi ki asli ameeri hai, aur Christmas par yeh ameeri aur bhi badh jati hai.”

Christmas Quotes In Hindi

“Christmas ke is tyohaar par, parivaar ka pyaar aur ekta hume yeh mehsoos karata hai ki hamare paas sab kuch hai.”

Christmas Quotes In Hindi
Khushiyaan Lekar Aayi Christmas
Khushiyaan Lekar Aayi Christmas

Conclusion: Christmas ka tyohaar parivaar ke liye ek khaas mauka hai jahan aap pyaar, ekta aur khushiyan baat sakte hain. In 10 khubsurat khwahishon aur quotes ko istemaal karke aap apne parivaar ko is tyohaar par yaadgaar bana sakte hain. Khushiyaan lekar aayi Christmas, aur yeh mauka hume hamare parivaar ke saath aur bhi karib laata hai.

Also, Please Visit Our Salgirah Mubarak Facebook Page, and Don’t Forget to Read Birthday Wishes in Urdu

Continue Reading

Eid Mubarak

Eid Udha Kya Hai? Qurbani Kyun Ki Jati Hai

Published

on

By

Eid Udha

Eid Udha Kya Hai? Sab Ke Mind Main Yeh Sawaal AKsar Aata Hai. Jawaab: Eid ul Adha, jo Qurbani Eid ke naam se bhi jaani jaati hai, Islam mein ek ahem mazhabi aur samajik tyohar hai. Yeh Eid-e-Qurban ke naam se bhi mashhoor hai. Is Eid ko musalman duniya bhar mein khushi aur izzat ke saath manate hain.

Eid Udha Kya Hai?

Is Eid ka taaruf Quran-e-Pak ke hawale se hai. Hazrat Ibrahim (AS) ki qurbani ka waqia is Eid ka markazi hissa hai. Quran mein bataya gaya hai ki Allah ne Hazrat Ibrahim (AS) par ek aazmaish bheji aur unhone apne bete Hazrat Ismail (AS) ko Allah ke raza ke liye qurbani dene ke liye tayyar kiya. Par Allah ne unki badan siddat aur taqat se bahut pasand ki aur unhe ek bakre ki jagah par Qurbani ke liye diya gaya. Yeh waqia humein taqwa, imaan aur balidaan ki azmat ki taleem deta hai.

Background Eid Udha Ka

Eid ul Adha saal ke Zil Hajj ke dusre din se shuru hoti hai, jab Hazrat Ibrahim (AS) ne Qurbani ki tayyari shuru ki thi. Yeh Eid Islam mein kul milakar doosri Eid hai. Yeh char dinon ka tyohar hota hai, jisme qurbani ka aadmi jeevan ke saare aspekton ko qurbaan karte hain.

Eid ul Adha duniya bhar mein musalman samuday mein manayi jati hai. Yeh tyohar aap sabhi mulk aur jagahon par manaya jata hai. Desh, bhasha aur khandan ki seemaon se pare, log ek dusre ko mubarakbaad dete hain aur khushiyan baantte hain. Eid ul Adha par musalman apne parivaar, dosto aur rishtedaron ke saath milte hain aur khushiyan, pyaar aur nek amal baantte hain.

Eid Udha Ka Maqsad Kya Hai?

Eid ul Adha humein taqwa, balidaan aur samajik insaaf ka paigaam deta hai. Is Eid par musalman apne khaas dinon ko shareef aur mehmaan-nawaaz tarike se guzaarte hain. Woh qurbani ka mazboot iraada rakhte hain aur gareebon, kamzoron aur zarooratmandon ki madad karte hain.

Eid ul Adha ki khushiyan musalman samaj mein badi ahmiyat rakhti hai. Is Eid par log masjid mein namaz ada karte hain, Quran-e-Pak ki tilawat karte hain aur khutbe sunte hain. Fir ghar par wapas aakar apne parivaar aur dostoon ke saath khushiyaan baantte hain.

Eid Udha Pe Muslims Kya Intezam Karte Hain
Eid Udha Pe Muslims Kya Intezam Karte Hain?

Eid Udha Pe Muslims Kya Intezam Karte Hain?

Eid ul Adha ke mauqe par qurbani ki jaanwaron ka intezam kiya jata hai. Musalman log apne paas maujood zakaat aur mal ke hisse se qurbani ka hissa karte hain. Yeh qurbani us Hazrat Ibrahim (AS) aur Hazrat Ismail (AS) ke balidaan ki yaad dilati hai aur humein samajik zimmedari aur insaaniyat ki ehmiyat par vichaar karne ke liye prerit karti hai.

Eid ul Adha ek mauqa hai jahan log apne pyaar aur meharbaani ko dikhaate hain. Gareebon, yateemon, aur zarooratmandon ko apna hissa diya jata hai. Sath hi, log khane-peene ki cheezen bantte hain, mehmanon ko apne ghar bulakar unhe khush karte hain. Yeh mauqa hai ki ek dusre ke saath khushiyan baantne ka, samjhaute aur dushmaniyan bhool kar ek saath milne ka.

Qurbani Eid Humain Kya Sikhati Hai?

Eid Udha
Eid Udha

Eid ul Adha ka maqsad hai insaaniyat, insaaf aur samajik mohabbat ki taraqqi. Is Eid par humein samajhna chahiye ki hamare zindagi mein taqwa, qurbani aur nek amalon ki zaroorat hai. Hum apne imaan ki taqat aur khuda ki raza ke liye tayyar hokar apne aas paas ke logon ki madad karein, unki khushiyan baantien aur samajik insaaf ka paigaam phelaayein.

Eid ul Adha humein samjhaati hai ki hum sab ek parivaar hain, ek insaaniyat ke hisse hain. Is Eid par humein samajhna chahiye ki humein apne parivaar aur samaj ki sehat, khushi aur samriddhi ke liye saath milkar kaam karna hai. Hum ek dusre ko pyaar aur muhabbat se dekhna, samajhna aur apnana chahiye.

Eid ul Adha Mubarak ho! Is Eid par khushiyan, duayein aur nek amal aapki zindagi mein barkat le aayein. Aap aur aapke parivaar ko khushiyan aur khushiyon ki Eid Mubarak!

Eid ul Adha Mubarak ho! Is Eid par khushiyan, barkat aur pyaar aapke ghar mein bahein. Aap aur aapke parivaar ko Qurbani Eid ki mubarakbaad!

Continue Reading

Eid Mubarak

Eid ul Adha Mubarak ho – Eid Wishes

Published

on

By

Eid Al Udha Mubarak

Eid ul Adha Mubarak ho: Eid Ka Din Muslims Ke Liye Buhat Importance Rakhta Hai. Salgirah Mubarak Website ke aur se aap Sab ko Eid ki Buhat Buhat Mubarakbaad! Visit For Urdu Eid Mubarak Wishes.

Eid ul Adha ka tyohar aaya hai, dil mein khushi aur umeed ka ujaala bhar gaya hai. Yeh mauqa hai hum sab ke liye, apne imaan aur taqwa ko jagane ka. Hum qurbani ke fazail aur ibadat ka ehteraam karte hain, aur Allah ki raza aur rehmat ki talash mein hain.

Is Eid ul Adha par, hum apne dil mein muhabbat aur insaaniyat ko jagate hain. Qurbani ki jaanwaron ki taqseem se hum apne gareeb bhaiyon aur behnon ki madad karte hain. Hum ek dusre ke saath pyaar aur khushi bantate hain, aur apne karobar, ghar aur samaj mein barqat aur salamti ki dua karte hain.

Qurbani Ki Eid

Eid ul Adha humein yaad dilati hai Ibrahim (AS) ki taqwa aur tawaqo ka waqia. Hum uski sunnat aur azmat par amal karte hain, aur apne dil mein Qurbani ki niyyat aur sakhti ko jagaate hain. Hum apni zindagi mein taqwa aur imaan ki barkat lete hain, aur apne qadam ko Allah ki raza ki taraf badhate hain.

Is Eid ul Adha par, hum dua karte hain ki hum sabko imaan, sabr aur taqwa se nawaze. Hum apne ghar walon, dost aur parivaar ke saath khushiyan aur pyaar baantte hain. Hum muskurate hain aur apne dil mein Eid ki khushi aur shukrana jagaate hain.

Eid-ul-Udha Mubarak ho! Aapko aur aapke parivaar ko khushiyon ki, pyaar ki, aur barkaton se bhari Eid mubarak ho!

  1. Eid ul Udha Mubarak ho! Allah ki rehmat aur barkat aapki zindagi mein hamesha barse, aur aapko khushiyan aur kamyabiyan milein.
  2. Eid ul Adha ka chaand dekh kar dil mein khushiyan bhar gayi. Khuda aapko khush rakhe aur aapki har dua qubool karein. Eid Mubarak!
  3. Chand raat ki khushbu, qurbaani ka saath, aur khushiyan aapke darwaze pe tashreef layi hai. Eid ul Udha Mubarak ho!
  4. Eid ul Adha ki aamad hai, qurbaani ka mausam hai. Aapko aur aapke parivaar ko dher saari barkat aur khushiyan milein. Eid Mubarak!
  5. Eid ul Adha aayi hai, khushiyan laayi hai. Allah se dua hai ki aapki zindagi mein hamesha noor aur khushiyan barsein. Eid Mubarak ho!

Eid ul Adha Mubarak ho

  1. Eid ul Adha ka din hai, khushiyo ka tyohar hai. Aapki zindagi mein hamesha pyaar aur sukoon barse, aur aap qurbani ki khushiyan mein rang lein. Eid Mubarak!
  2. Eid ul Adha ke paigham lekar aati hai khushiyan aur ummeedon ka paigaam. Aapki zindagi mein khushiyon ki Eid aaye, aur aap hamesha khush rahein. Eid Mubarak!
  3. Eid ul Adha ka din hai, khuda ka ehsaan hai. Aapko aur aapke ghar walon ko khushiyon ki eid mubarak ho, aur aap sab qurbaani ki khushiyan mein rang lein.
  4. Eid ul Adha ki mubarakbaad lekar aati hoon, dua karti hoon ki aapki zindagi mein hamesha khushiyan aur aman barsein. Eid Mubarak!
  5. Chand raat ki chamakti hui raat, Eid ul Adha ki khushiyon ki baat. Aap aur aapke parivaar ko mubarak ho Eid ul Udha!
Eid ul Adha Mubarak ho
Eid ul Udha Mubarak ho

Continue Reading
Advertisement

25 Ahmed Faraz Alama Iqbal August Beta Beti Boss Brother Cards Christmas Christmas Movies Cute Merry Christmas Cards dad Dard Daughter Dost Dosti Dua Eid Elegant Merry Christmas Cards English Events Father Friend Funny Funny Merry Christmas Cards Ganesh Chaturthi Ghazal Girlfriend Good Morning Good Night Google Handmade Merry Christmas Cards Hindi Horoscope Husband Ideas Images iSHqia Shayari Jaan Janmadin Jigar Love Lovers Love Shayari Maa Mehbooba Merry Christmas Gifts Mirza Ghalib Mother Muhabbat Music Onam Parivaar Poetry Premee Quotes Religious Merry Christmas Cards Romantic Sad Poetry Salgirah Santa Claus September Shadi Shakeel Badayuni Shayari Shikwa Short sindhi poetry Sister Son Student Teacher Thanks Tohfa Traditional Merry Christmas Cards Two Liner Uncle Urdu Poetry Urdu Poets Videos Wife Wishes Yaar Zindagi Zodiac

Trending