Shayari
Ishq Mujh Ko Nahin Wheshat Hi Sahi By Mirza Ghalib
Ishq Mujh Ko Nahin: This is world famous Poetry of Mirza Asadullah Khan Ghalib. Mirza Ghalib Is the Legend Poet of Urdu Langauge and a Sufi Saint. Mirza Ghalib is not only a poet but a university of passions, feelings and ambassador of Questioning art.
Insaan Piyaar main Jab Intehaa ko Pohanch Jata hai tab Wo Apne Mehboob Ke apni Saari anaaeen aur apni Hasti apna wajood Bhool ker sar jhuka deta hai.
Ishq Mujh Ko Nahin Wehshat hi Sahi in Roman Urdu and Hindi
Ishq mujh ko nahin wehshat hi sahi,
Meri wehshat teri shohrat hi sahi.
Qat’a kijye na ta’alluq hum se,
Kuch nahin hai to adaawat hi sahi.
Mere hone mein hai kya ruswaai,
Aye woh majlis nahin khulwat hi sahi.
Hum bhi dushman to nahin hain apne,
Ghair ko tujh se mohabbat hi sahi.
Apni hasti hi se ho jo kuch hai,
Aagahi gar nahin ghaflat hi sahi.
Umr har chand ke hai barq kharaam,
Dil ke khoon karne ki fursat hi sahi.
Hum koi tark-e-wafa karte hain,
Na sahi, ishq musibat hi sahi.
Kuch to de aye falak naa-insaaf,
Aah o faryaad ki ruksat hi sahi.
Hum bhi tasleem ki khoo daalenge,
Be-naayazi teri aadat hi sahi.
Yaar se chheR chali jaae Asad,
Gar nahin wasl to hasrat hi sahi.”
These beautiful verses (Ghazal) of Mirza Ghalib explore various facets of love, longing, and human emotions, as expressed by the poet.
عشق مجھ کو نہیں وحشت ہی سہی
عشق مجھ کو نہیں وحشت ہی سہی
میری وحشت تری شہرت ہی سہی
قطع کیجے نہ تعلق ہم سے
کچھ نہیں ہے تو عداوت ہی سہی
میرے ہونے میں ہے کیا رسوائی
اے وہ مجلس نہیں خلوت ہی سہی
ہم بھی دشمن تو نہیں ہیں اپنے
غیر کو تجھ سے محبت ہی سہی
اپنی ہستی ہی سے ہو جو کچھ ہو
آگہی گر نہیں غفلت ہی سہی
عمر ہرچند کہ ہے برق خرام
دل کے خوں کرنے کی فرصت ہی سہی
ہم کوئی ترک وفا کرتے ہیں
نہ سہی عشق مصیبت ہی سہی
کچھ تو دے اے فلک ناانصاف
آہ و فریاد کی رخصت ہی سہی
ہم بھی تسلیم کی خو ڈالیں گے
بے نیازی تری عادت ہی سہی
یار سے چھیڑ چلی جائے اسد
گر نہیں وصل تو حسرت ہی سہی
Ishq Mujh Ko Nahin Wehshat hi Sahi in Hindi
Also, Please Visit Our Salgirah Mubarak Facebook Page, and Don’t Forget to Read Birthday Wishes in Urdu