Shayari
Ishq Shayari | Ishq Ke topic Par Urdu Ke Mashhoor Shayaron ki Shayari
Ishq Shayari: Ishq, wo ehsaas hai jo insaan ko apni zindagi mein kabhi na kabhi mehsoos hota hai. Yeh ek aisi taqat hai jo dilon ko chhoo jaati hai. Aur jise bayan karne ke liye shayari ka sahara liya jaata hai.
Ishq ki shayari ek khaas andaaz mein apne jazbaat, khwabon, aur junoon ko vyakt karne ka zariya hai. Is blog post mein hum aapko lekar jaayenge ishq shayari ki dunia mein. Jahan aapko milega pyaar, adaaon ki misaal, aur mohabbat ke rangin safar ki kahaniyan. To chaliye, ishq ki duniya mein kho jate hain aur shayari ke is suroor mein doobte hain.
Ishq Shayari
Ishq Shayari: Pyaar, junoon, aur mohabbat ke rangin ehsaasat ko shayari ke jadoo se bayan karein. Is blog post mein, hum aapko lekar jaayenge ishq shayari ki dunia mein, jahan aapko milega pyaar. adaaon ki misaal. aur mohabbat ke rangin safar ki kahaniyan. Aaiye, ishq ki duniya mein kho jate hain aur shayari ke is suroor mein doobte hain.
Ishq Ke Topic Par Shayari
Ishq ne Ghalib nekama kar diya
Warna hum bhi aadmi thay kaam ke
Mirza Ghalib
Hosh walon ko khabar kya, bekhudi kya cheez hai
Ishq kije phir samjhe, zindagi kya cheez hai
Nida Fazli
Allama Iqbal
Sitaron se aage jahan aur bhi hain
Abhi ishq ke imtehan aur bhi hain
Ishq nazuk mizaj hai be-hadd
Aql ka bojh utha nahi sakta
Allama Iqbal
Raah door ishq mein rota hai kya
Aage aage dekhiye hota hai kyaMir Taqi Mir
Koi samjhe to ek baat kahoon
Ishq tofiq hai, gunaah nahi
Farhaq Gorakhpuri
Yeh ishq nahi asaan, itna hi samajh lijiye
Jigar moradabad
Ek aag ka dariya hai, aur doob ke jaana hai
Shair
Tere ishq ki inteha chahta hoon
Meri sadgi dekhi kya chahta hoon
Allama Iqbal
Love Two Liner Poetry In Urdu and Hindi
Shair
Ishq par zor nahi hai, yeh woh aatish Ghalib
Ke lagaaye nah lage aur bujhaaye nah bane
Mirza Ghalib
Shair
Kya kaha ishq jaawedani hai!
Aakhri baar mili rahi hai kya
Jaun Elia
Shair
Aag thay ibtedaye ishq mein hum
Ab jo hain khaak inteha hai yeh
Mir Taqi Mir
Shair
Maktab-e-ishq ka dastoor niraala dekha
Isko chhuti nah mili jisko sabq yaad rahe
Mir Taahir Ali Rezvi
Shair
Ishq se tabiyat ne zeest ka maza paaya
Dard ki dawa paai, dard be-dawa paaya
Mirza Ghalib
Ishaq Shayari in Hindi
Mere humnafas, mere hamnawa, mujhe dost ban ke dagha na de
Main hoon dard-e-ishq se jaan balab, mujhe zindagi ki dua na de
Shakeel Badayuni
Gar baazi ishq ki baazi hai jo chaaho laga do darr kaisa
Gir jeet gaye to kya kehna, haare bhi to baazi maat nahi
Faiz Ahmed Faiz
Shair
Ishq ek mir bhari patthar hai
Kab yeh tujh natwaan se utha hai
Mir Taqi Mir
Shair
Kya kahoon tum se main ke kya hai ishq
Jaane ka rog hai bala hai ishq
Mir Taqi Mir
Shair
Chalne ka hosla nahi, rukna mahal kardiya
Ishq ke is safar ne to mujhko nadhal kardiya
Parveen Shakir
Umar to saari kati ishq bataan mein Momin
Aakhri waqt mein kya khaak musalman hongeMomin Khan momin
Shair
Ishq ka zauq nazara muft mein badnaam hai
Husn khud be-taab hai jalwa dikhaane ke liye
Asrar Ul Haq Majaz
Also, Please Visit Our Salgirah Mubarak Facebook Page, and Don’t Forget to Read Birthday Wishes in Urdu