Lekin Aisa To Nah Kahiye Ke Wafa Kuch Bhi Nahi
Aap Jeson Ke Liye Iss Mein Rakha Kuch Bhi Nahi
Lekin Aisa To Nah Kahiye Ke Wafa Kuch Bhi Nahi
Aap Kahiye To Nibhate Chalay Jayen Ge Magar
Iss Talluq Mein Aziit Ke Sِwa Kuch Bhi Nahi
Mein Kisi Terhan Bhi Samjhota Nahi Kar Sakta
Ya To Sab Kuch Hi Mujhe Chahiye Ya Kuch Bhi Nahi
Kaisay Jana Hai Kahan Jana Hai Kyun Jana Hai
Hum Ke Chaltay Chalay Jatay Hain Pata Kuch Bhi Nahi
Haae Iss Shehar Ki Ronaqe Ke Mein Sadqy Jaoon
Aisi Bharpoor Hai Jaisay Ke Howa Kuch Bhi Nahi
Phir Koi Taaza Alum Dil Mein Jagah Karta Hai
Jab Bhi Lagta Hai Ke Likhnay Ko Bacha Kuch Bhi Nahi
Ab Mein Kya Apni Mohabbat Ka Bharam Bhi Nah Rakhon ?
Maan Laita Hon Ke Uss Shakhs Mein Tha Kuch Bhi Nahi
Mein Ne Duniya Se Allag Reh Ke Bhi Dekha Jawad
Aisi Mun Zor Udasi Ki Dawa Kuch Bhi Nahi
Lekin Aisa To Nah Kahiye Ke Wafa Kuch Bhi Nahi |
آپ جیسوں کے لیے اِس میں رکھا کچھ بھی نہیں
لیکن ایسا تو نہ کہیے کہ وفا کچھ بھی نہیں
آپ کہیے تو نبھاتے چلے جائیں گے مگر
اِس تعلق میں اذیّت کے سِوا کچھ بھی نہیں
کیسے جانا ہے کہاں جانا ہے کیوں جانا ہے
ہم کہ چلتے چلے جاتے ہیں پتہ کچھ بھی نہیں
ہائے اِس شہر کی رونق کے میں صدقے جاؤں
ایسی بھرپور ہے جیسے کہ ہُوا کچھ بھی نہیں
پھر کوئی تازہ الم دل میں جگہ کرتا ہے
جب بھی لگتا ہے کہ لکھنے کو بچا کچھ بھی نہیں
اب میں کیا اپنی محبت کا بھرم بھی نہ رکھوں ؟
مان لیتا ہوں کہ اُس شخص میں تھا کچھ بھی نہیں
میں نے دُنیا سے الگ رہ کے بھی دیکھا جوّاد
ایسی منہ زور اداسی کی دوا کچھ بھی نہیں