Shaadi Mubarak
Shaadi Se Pehle: Doolha aur Dulhan Ke Romantik Guftagu
Shaadi, sirf aik event nahi, balki do dilon ka aik taalluq hai
Shaadi, zindagi ki ek nayi shuruaat hoti hai, jahan do dilon ka milan hota hai. Aur jab yeh milan prem aur mohabbat se bhara ho, toh har lamha aur bhi khaas ho jata hai. Aaj hum aapko ek aisi mithi aur romaanvi guftagu sunane ja rahe hain. jisne doolha aur dulhan ke dil ko shaadi se pehle hi choo liya.
Shasdi – Aik Khushiyon Bhari Mohabbat Ki Shuruaat
Doolha (Ahsas se): Dulhan ji, aapko yaqeen hai, humari zindagi mein yeh din aakhir aagaya? Hum aik doosre se milne wale hain. aur mujhe aisa lag raha hai jaise hum pehle se hi mile hue hain.
Dulhan (Muskaan ke sath): Haan, aap sahi keh rahe hain. Yeh ajeeb si baat hai, magar humari baaton mein woh gehraai hai jo humain aik doosre ko samajhne mein helpful sabit ho sakti hai.
Doolha (Muskurahat mein): Aapke saath baat karte waqt, mujhe yeh mehsoos hota hai ki aap mere saath hain. Shayad yeh woh Ahsaas hai jo humari un match things ko mita deta hai.
Dulhan (Narmi se): Aur yehi woh mehsoos hai jo mujhe bhi hota hai. Aapke saath mein, har baat mein kuch khaas hai. Mujhe aapki awaz sunne mein sukoon milta hai.
Doolha (Nazron se nazren milate huye): Aaj humari zindagi ka ek naya bab hai, lekin mujhe yakeen hai ki hum aik doosre ke saath har mushkil ko asaan kar sakte hain.
Dulhan (Aankhon mein pyaar bhara hua): Haan, hum ek doosre ke saath hain, aur yehi humari sabse badi taqat hai. Hum aik doosre ko samajhte hain, aur humari mohabbat hamesha hamare dilon mein basi rahegi.
Doolha (Aankhon mein khushi): Main aapko hamesha khush dekhna chahta hoon, aur apne saath har khushiyan lekar aana chahta hoon.
Shaadi Se Pehle – Doolha
Dulhan (Halki si hansi): Aur main bhi wahi chahti hoon. Aapke saath har pal, har khusi mein mera saathi ho.
dulhan – shaadi se pehle
Shaadi, sirf aik event nahi, balki do dilon ka aik taalluq hai
Yeh mukhtasar guftagu, doolha aur dulhan ke beech mein hone wali.Prem aur samajh ki mithi dastan ka aik jhalak hai. In lamhon mein shaadi se pehle, jab dono aik doosre se mukhatib hote hain. unki baatein unke dil ki gehraiyon tak pahunch jati hain. Yeh aik khoobsurat rishta ka aghaz hai, jahan pyaar ki har baten ehem hain.
Shaadi, sirf aik event nahi, balki do dilon ka aik taalluq hai. Aur is taalluq ki shuruaat mein jab aankhon se aankhen milti hain. Dilon ki awazen ek doosre tak pahunchti hain. Toh yeh pal aik zindagi ki yaadgar mithas ban jate hain.
Isi tarah ke khoobsurat lamhon ka intezaar karte huye. hum shaadi se pehle doolha aur dulhan ki iss prem bhari guftagu ko yadgar banate hain.
Also, Please Visit Our Salgirah Mubarak Facebook Page, and Don’t Forget to Read Birthday Wishes in Urdu