Shayari

Usey Kaho Romantic Hindi Urdu Poetry

Usey kaho | dil ko chhoo lene vaalee romaantik urdoo Hindi shaayaree hai jo kitaab “Tum Naraaz Bethee Ho” kee kavita. yah kavita prem aur maasoom ichchhaon se bharee hai. Yah kavi Mansoor Ne dvaara 2007 mein likhi thi.

Published

on

Usey kaho | dil ko chhoo lene vaalee romaantik urdoo Hindi shaayaree hai jo kitaab “Tum Naraaz Bethee Ho” kee kavita. yah kavita prem aur maasoom ichchhaon se bharee hai. Yah kavi Mansoor Ne dvaara 2007 mein likhi thi. Pyaar mein sabase achchha upahaar sammaan aur apni premika se pyaar hai. Pyaar ka ijahaar karana chaahie. Apane priy ke kaan baar-baar pyaar ko sunana chaahate hain. Yah kavita Usey Kaho premiyon ke lie upahaar ho sakatee hai aur yah premiyon ka geet hai.

Usey kaho khud pe bojh ban jaata hun

Usey Kaho Khud Pe Bojh Ban Jata Hun
Kabhi MUjh Se Rootha Na Karey

Dushmaniyan Barhti Ja Rahi Hain
Sab Ke Sath Hansa Na karey


Bina Sulge Jal Jata Hun
Gairon Ke Sath Ghooma Na karey

Bhanvare Ke Phrey Hein Us per
Is Rang Ke Kapde Na Pehna Karey

Usey Kaho

Main Kafir Na Ban Jaun Kaheen
Yun Roz Mujh Se Mila Na Karey

Falak Ke Taaron Sa Hojaunga
Yun SHab Bhar Jaga Na Karey

Log Kuch Aur Nahi PaDtey
Dairyon Mein Kuch Likha Na Karey

Morniyan Chalna Bhool Gai Hein
Yun ATak Atak Ke Chala Na karey

Galiyon Mein Gulab Nikharne Lagey Hein
Har Jaga Qadam Rakha Na Karey

Dard Zamaney Ke Aaengey Bhi
Jaengey Bhi Dil Chota Na Karey

Usey Kaho

Log Mujh Per Bhi Jalne Lagey Hein
Meri Shairi Ko Parha Na Karey

Mein Aur Raqeeb seh Nahi Sakta
Sab Se Meetha Bola Na karey

Chaand Tujhe Chumne Ko tarsta Hai
Chaandi Shab Mein BHeega Na karey

Lafz Sabhi Madhosh Ban Jatey Hein
Raat Ko Khat Koi Likha Na Karey

Chalney Waley Sab Ruk Jatey Hein
Sar e Raah Be Sabab Ruka Na Karey

Mein Sajda Na Kar Bethun Kabhi
Yun Piyar se Dekha Na Karey

Visit Our Facebook Salgirah Mubarak Page. For Urdu Birthday Wishes Salgirah Website Visit karain.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Trending

Exit mobile version