Salgirah Poetry main hum aap ke liye kuch poetry de rahey hein jo Faiz Ahmed Faiz Sahib Gohar Hoshiyarpuri are Baqar Mehdi ki hai. Umeed kartey hain ye aap ko pasand aaeygi.
Salgirah Shayari by Faiz Ahmed Faiz
Shaayar ka jashn e Salgirah hai sharab laa
Mansab, Khitabn, rutba unhein kya naheen mila
bas Nuqs hai to itna ke Mamduh ne koi
Misra kisi kitaab ke shayan nahin likha
- Faiz
Gohar Hoshiyarpuri ki Salgirah Shayari
Dard ki sal-girah KHair se guzre ‘gauhar’
aa gai raat wahi chand-gahan hone ki
- Gohar Hoshiarpuri

Salgirah Poetry BY Baqar Mehdi
Mera Janam Din
Baqar Mehdi
zehn pe ek ghataa si chhai hai
lafzon ki an jaani boondein bars rahi hain
koi mani shayad niklen
ZaKHmi taair mere qalam se lipaT gaya
aur us ke pehlu mein ek nanhaa sa teer hai
teer mein ek kaghaz bhi hai
ab ke mere janam din par
kiss ne mujhko yaad kiya hai?
main ne kaaghaz khol ke dekha
kuchh bhi na tha
Sirf TuTi TuTi chand lakeerien theen
aise Khat aatey rahtey hain
naam naheen hota jin par
baat naheen banti lekin
baat baneygi kaise?
jab pahlu mein KHar lagaa ho
aankhon mein nam aa bhi chuka ho
janam janam ke saudey mein tum
sab sey aagey nikal gaey ho
sare sathi chhuT gae
gham ke chhaale phuT gae
jine ki ummid nahin hai
Phir Bhi tum ab tak jitey ho
umar tumhaari maut se aage nikal gai hai
sannaTe mein jina kitna mushkil hai
KHwahish ke sadme bhi nahin hain
Salgirah Mubarak ki wishes aur message ke liye humari post parhein Salgirah Mubarak Shayari aur Saligirah Messages.
Humarey Facebook Salgirah Mubarak Page ko zaroor pasand farmaaiyega.
is post ko parh ker aap ko kese laga humain zaroor bataiyega. Hum ko aap ke comments ka behad intezar rehta hai. aap ki buhat meherbani. Ye post apne doston ke sath bhi zaroor share kijiyega.