उससे कहो कि मुझसे नाराज़ न हो

Usey Kaho Romantic Hindi Urdu Poetry

Read Time:1 Minute, 28 Second

Usey kaho | dil ko chhoo lene vaalee romaantik urdoo Hindi shaayaree hai jo kitaab “Tum Naraaz Bethee Ho” kee kavita. yah kavita prem aur maasoom ichchhaon se bharee hai. Yah kavi Mansoor Ne dvaara 2007 mein likhi thi. Pyaar mein sabase achchha upahaar sammaan aur apni premika se pyaar hai. Pyaar ka ijahaar karana chaahie. Apane priy ke kaan baar-baar pyaar ko sunana chaahate hain. Yah kavita Usey Kaho premiyon ke lie upahaar ho sakatee hai aur yah premiyon ka geet hai.

Usey kaho khud pe bojh ban jaata hun

Usey Kaho Khud Pe Bojh Ban Jata Hun
Kabhi MUjh Se Rootha Na Karey

Usey Kaho
Dushmaniyan Barhti Ja Rahi Hain
Sab Ke Sath Hansa Na karey

Usey Kaho
Bina Sulge Jal Jata Hun
Gairon Ke Sath Ghooma Na karey

Usey Kaho
Bhanvare Ke Phrey Hein Us per
Is Rang Ke Kapde Na Pehna Karey

Usey Kaho
Falak Ke Taaron Sa Hojaunga
Yun SHab Bhar Jaga Na Karey

Usey Kaho
Main Kafir Na Ban Jaun Kaheen
Yun Roz Mujh Se Mila Na Karey

Usey Kaho
Log Kuch Aur Nahi PaDtey
Dairyon Mein Kuch Likha Na Karey

Usey Kaho
Morniyan Chalna Bhool Gai Hein
Yun ATak Atak Ke Chala Na karey

Usey Kaho
Galiyon Mein Gulab Nikharne Lagey Hein
Har Jaga Qadam Rakha Na Karey

Usey Kaho
Dard Zamaney Ke Aaengey Bhi
Jaengey Bhi Dil Chota Na Karey

Usey Kaho
Usey Kaho

Usey Kaho
Log Mujh Per Bhi Jalne Lagey Hein
Meri Shairi Ko Parha Na Karey

Usey Kaho
Mein Aur Raqeeb seh Nahi Sakta
Sab Se Meetha Bola Na karey

Usey Kaho
Chaand Tujhe Chumne Ko tarsta Hai
Chaandi Shab Mein BHeega Na karey

Usey Kaho
Lafz Sabhi Madhosh Ban Jatey Hein
Raat Ko Khat Koi Likha Na Karey

Usey Kaho
Chalney Waley Sab Ruk Jatey Hein
Sar e Raah Be Sabab Ruka Na Karey

Usey Kaho
Mein Sajda Na Kar Bethun Kabhi
Yun Piyar se Dekha Na Karey

About Post Author

Salgirah Mubarak

Salgirah mubarak Urdu Hindi zabaan mein janam din ke Topic par aik online bara zakheera hai. jahan aap apne pyaron ko unkay yom paidaiesh par apni naik khwahisaat ka izhaar kar satke hain. is zakheeray mein 95 feesad mawaad takhleeqi hai. yahan shaamil hain pyare abbu jee Salgirah mubarak, pyari Ami jee Salgirah mubarak, pyare betay jee Salgirah mubarak, , ustaad mohtaram jee Salgirah mubarak, , Salgirah ki mazahiya shairi, Birthday Funny wishes in Hindi Urdu, Salgirah wish, beti ki Salgirah mubarak, Biwi ko shadi ki Salgirah mubarak, Salgirah mubarak bhai, meri Salgirah ka din mazmoon, Salgirah mubarak cake, Salgirah mubarak ho behan, Salgirah mubarak duayen, janam din mubarak dost, janam din ki shubh kamnayin, janam din mubarak behan, biwi ko shadi ki Salgirah mubarak, shohar ko shadi ki Salgirah mubarak, mangni mubarak shairi, Salgirah ke ganay, shareek hayaat shairi, mutasir kin kahaniyan, aqval zareen, latefay, ashaar aur aap ke pedaishi sitaron ke baray mein khobsorat mawaad jo aap –apne pyaron ke sath baant satke hain woh abhi apni zabaan mein. shukriya
Happy
Happy
0 %
Sad
Sad
0 %
Excited
Excited
0 %
Sleepy
Sleepy
0 %
Angry
Angry
0 %
Surprise
Surprise
0 %
Spread the love

Average Rating

5 Star
0%
4 Star
0%
3 Star
0%
2 Star
0%
1 Star
0%

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

ماں کی سالگرہ کیسے منائی جائے۔ Previous post Maa Ki Salgirah Ko Kaisay Manaya Ja Sakta Hai?
ब्रेकअप दोस्तों के लिए जन्मदिन की शुभकामनाएं Next post Gulaabon Ka Mausam Urdu Hindi Poetry